Friday, May 24, 2013

Roti


Har insaan ki zaroorat hai ye roti
Kutton ka shikaar bhi hai ye roti
Ab to roti khud poochh rahi hai sawaal
Ki main kiske pet mein jaaoon
Ameeron ke liye roti roti hi hai
Gareebon ke liye uphaar hai ye roti
Iske liye to hoti hain ladaaiyan bhi
Kisi ki jeet hai ye roti, kisi ki haar hai ye roti
Agar kisi ki thaali mein jaaye, to aahaar hai ye roti
Baithti hain is par makkhiyaan bhi aksar
Zeher bhi hai ye roti, amrit bhi ye roti
Shahi pakwaano mein ise poochhta hai kaun?
Kisaan ka pet bhare to vardaan hai ye roti
Aaj, har insaan ise paane se chook raha hai,
Chhup-chhup aati hai ye roti, bikti sarebazaar ye roti
Aur to aur, imaandari ki bhi roti, chori ki bhi ye roti
Par jaise bhi aati hai, aa hi jaati hai, badi imaandar hai ye roti.

No comments:

Post a Comment