Friday, May 24, 2013

Kabr (Truth of Kashmir)


Jise tum kabhi jannat kehte the
Jise tum kabhi mannat kehte the
Jab uska zikr hota tha...tum khush hote the
Aaj usi Kashmir ki baat karne se kyun rokte ho...kyun kehte ho
Mat kaho kuch...kyun kehte ho..
Kuch aur baatein karein
Sacchai se muh kyun pherte ho
Aaj wohi ek jannat...kabr ban chuki hai
Aaj wohi jannat...dozakh se bhi badtar hai
Banjar banjar hai har manzar
Zameen aur aasmaan bhi banjar hain
Aaj sab khuda ke aage sajde mein jhuke hain...
Duaayein maang rahe hain apni haalat ko dekh kar...
Woh ped, wo paudhe, wo pahaad, wo nadiyaan,
Wo shikaara jo humein apni manzil tak pahunchaane mein koi kasar na chhodta tha,
Aaj usi shikaare ko toota hua dekhkar unse ki hui sair ki yaad aati hai...
Ye AMAN KA KASHMIR tha, ise wahi darja waapas do..
Ise KABR mat kaho..ise jannat rehne do...ise jannat rehne do

No comments:

Post a Comment