Friday, May 24, 2013

Mujhe Chalna Hai


Raahein dekhi to kai hain, par ek hi raasta hai,
Jis par mujhe chalna hai.
Kisi soye hue insaan ko jagaane ke liye, mujhe chalna hai
Kahin junoon laane ke liye, mujhe chalna hai,
Mujhe chalna hai.
Chalna hai mujhe, kahin aman laane ke liye,
Rote logo ko hasaane ke liye, mujhe chalna hai.
Andheri shab ko ujle savere mein tabdeel karne ke liye,
Mujhe chalna hai.
Roshan karne is jahaan ko, mujhe chalna hai,
Koshishein to hain, unhein poora karne ke liye, mujhe chalna hai.
Haiwaan ko insaan banaane ke liye, mujhe chalna hai,
Khuda ka noor dhoondhne ke liye, mujhe chalna hai.
Zulmon ki taareekh likhne ke liye, mujhe chalna hai,
Mujhe chalne do, mujhe chalna hai.
Kal ko rangeen banaane ke liye, mujhe chalna hai,
Logon ki khushiyaan unhein waapas lautaane, mujhe chalna hai.
Nazar utha ke jo dekh raha hai, mere watan ki or,
Uski nazar jhukaane, mujhe chalna hai.
Meelon ke faasle hain abhi, un faaslon ko mitaane,
Mujhe chalna hai.
Mujhe chalna hai, mujhe chalna hai,
Mujhe chalne do, mujhe chalna hai.

(...and I have to go on like this!!!)

No comments:

Post a Comment