Friday, May 24, 2013

Raaste Aasmaan Mein

Tu kyun chalta hai zameen par, tere raaste hain aasman mein,
Tu kyun dekhta hai dhool zameen ki, pankh tere hain aasman mein,
Baadalon ko hatakar bane hain tere liye, raaste aasman mein,
Panchhiyon se hogi teri mulaakat, titliyon se bhi hogi teri baat,
Kar rahe hain sab tera intezaar, sab dekh rahe hain teri raah,
Tere raaste,
Jo hain aasman mein
Kadam-kadam pe milengi tujhe, thandi hawaaon ki thandak,
Thandi chhaon ke tale, tu rahega khush hamesha,
Neeli-neeli hogi, teri raahein,
Apna hi maan, tu aasman ko,
Shak ki koi gunjaaish hi nahin, ki ye sab hain tere,
Tere hi hain, raaste aasman mein 

No comments:

Post a Comment