Monday, March 2, 2015

Tum

Baalon mein liptaaye dhoop ko 
Tumne jab subah ki ore dekha
To ye suhaagan subah bhi yun mehakne lagi 
Maano baadalon ne gajre baandhe ho
Teri aankhon ke behte samundar mein 
Jab ishq kabhi tairta nazar aata hai
To saahilon si teri wo palkein bhi 
Khud-ba-khud door hoti jaati hain
Aaine sa tera wo maasoom chehra
Jisne sharaafat ki saari hadein paar kar di
Aaj usmein koi khud ko dekhe to
Tera deewana hone ki khata kar baithe
Tere paak aks ka wajood 
Tujhe muqammal karta hai 
Tere hothon ki wo surkhiyaan bhi 
Gulaab ki pankhudiyon ki mureed lagti hain
Teri muskaan ki jaan hai tere un gaalon ki sikudan
Jinka tere gaalon se sadiyon puraana rishta hai
Aaj meri yaadon ki kitaab mein jab tera zikr hota hai
Aankhein meri bhar aati hain halka sa dil rota hai
Hai yehi dua khuda se ki gar tere raaste mein patthar aaye
Sun ke tere haseen kadmon ki daastan khud-ba-khud hat jaaye

Khwaabon Ke Qaatil

Parvat ne jab angdaai li
Mausam ka bhi dil lehraaya
Baadalon ne dastak dekar
Hawaaon ka bhi mann behkaaya

Mere khwaab dekh rahe the ye tamaasha
Sooraj ke saath baithkar
Aur kar rahe the maktal mein baatein
Meri zindagi se milkar
Door khadi koi sada shaayad
Mera naam le rahi hai
Main pahuchta hoon jab uski samt
Pata chalta hai wo so rahi hai
Mera raabta hai in sookhe patjhad ke patton se
Jo zameen pe karke sajde
Meri dastaan sunaate hain is mausam ko
Aur kabhi khamosh rahe us shajar se
Jisne aaj muskuraakar
Haal apna bataaya saare aalam ko

Mere khwaabon ke guldaste mein
Ek kali murjhaayi bhi hai
Roothe hain ye sitaare mujhse
Chaand bhi gussaaya sa hai
Hai falak ye jiski amaanat
Wo bhi aaj ghamzada hai
Jise hai mohabbat ki chaahat
Wo bhi aaj gurbatzada hai
Ashqon ke is saagar mein
Doobi khushiyon ki kashti meri
Main jaata nahin mehfilon mein ki
Aisi nahin hasti meri
Hai kaun jo daawat deta hai
Mere khwaabon ke us qaatil ko?
Jab chal na sakoonga raah pe main
To kyun takta hoon manzil ko?
Ummeedon ka ek bawandar
Mere seene mein bhi palta hai
Khwaab dekhne ki khata kya ki
Ye khud se hi ab darta hai

Main qaatil nahin kisi ki duaaon ka
Is haadse ka kyun phir shikaar bana?
Main mujrim nahin unki khushiyon ka
Phir kyun main daagdaar bana?
Hai ab khalaaon mein jo meri sadaayein
Ab ye hi meri raazdaar hain
Ye patte ye phool aur shajar
Ab mere karzdaar hain
Main dhoondhta hoon inmein apni khushi 
Jo kabhi na kabhi to mil jaayegi
Mere daaman mein meri muskuraahat 
Aakar kabhi to gir jaayegi

Masroofiyat

Koi baat nahin karta mujhse, itni masroofiyat hai kaisi?
In tamaam sitam ke bawajood mujhmein sharaafat hai kaisi?

Mujhse haal poochhne ka vaada karke, mukar jaate hain aksar log
Dilon ke rishton mein bhi ye milaavat hai kaisi?

Na kuch bigaada maine kisi ka, na hi aisi koi tamanna hai
Phir mere hi liye sabke dil mein, itni kadvaahat hai kaisi?

Ab to darr hai ki dekh kar bhi mujhe, kahin andekha na kar dein
Mere apno ke mann mein, ye zalaalat hai kaisi?

Mil rahi hai saza kis gunaah ki, koi mujhe bhi bataaye
Aakhir mere saath ho rahi, ye sharaarat hai kaisi?

Wo laakh rulaate rahe mujhe, main toot ta hi gaya andar se
Bawajood iske mere hothon pe, ye muskuraahat hai kaisi?

Jab chaaha apnaaya, jab chaaha chhod diya unhone
Mohabbat aur jazbaaton ki ye tijaarat hai kaisi?

Kitne patthar dil hain ye jinhein apna main kehta hoon
Hui hai abhi jo paida dil mein wo ghabraahat hai kaisi?

Sochta hoon ki chhod doon is matlabi duniya ko
Par achaanak se apnepan ki, ye aahat hai kaisi?