Monday, December 27, 2010

Darkhwaast

Mujhe chand din ki mohlat de de,

Main sanwar ke tujhko dikhlaaunga,

Main badal kar tujhko dikhlaaunga,

Mujhe chand din ki mohlat de de.

Tu ek baar aisi kismat de de,

Ki main kya hoon tujhko bata sakoon,

Ki main kya hoon tujhko dikha sakoon,

Tu ek baar aisi kismat de de.

Chaahe tu mujhe laanat keh de,

Main ilzaam ye hataana chahta hoon,

Kya kar sakta hoon dikhaana chahta hoon.

Chaahe tu mujhe laanat keh de.

Tu ek martaba mohlat toh de,

Tu ek martaba aisi kismat toh de,

Tu laakh mujhe laanat keh de,

Main sanwar kar tujhko dikhlaaunga,

Main badalkar tujhko dikhlaaunga.

Jo ye saare dard main seh raha hoon,

Kabhi Andhra, Kabhi Kashmir se bat raha hoon,

Mere jism par itne gole baras rahe hain,

Mujhe sambhalne ka mauka toh de,

Main sambhal ke tujhko dikhlaaunga.

Aaj toh zaalimon ka pehra hai,

Sar pe unhi ke sehra hai,

Apne hi ab ladne lage hain,

Mujhe samjhaane ka mauka toh de,

Main samjha ke tujhe dikhaaunga,

Mujhe chand din ki mohlat de de,

Mujhe chand din ki mohlat de de.