Friday, May 24, 2013

Kabr (Truth of Kashmir)


Jise tum kabhi jannat kehte the
Jise tum kabhi mannat kehte the
Jab uska zikr hota tha...tum khush hote the
Aaj usi Kashmir ki baat karne se kyun rokte ho...kyun kehte ho
Mat kaho kuch...kyun kehte ho..
Kuch aur baatein karein
Sacchai se muh kyun pherte ho
Aaj wohi ek jannat...kabr ban chuki hai
Aaj wohi jannat...dozakh se bhi badtar hai
Banjar banjar hai har manzar
Zameen aur aasmaan bhi banjar hain
Aaj sab khuda ke aage sajde mein jhuke hain...
Duaayein maang rahe hain apni haalat ko dekh kar...
Woh ped, wo paudhe, wo pahaad, wo nadiyaan,
Wo shikaara jo humein apni manzil tak pahunchaane mein koi kasar na chhodta tha,
Aaj usi shikaare ko toota hua dekhkar unse ki hui sair ki yaad aati hai...
Ye AMAN KA KASHMIR tha, ise wahi darja waapas do..
Ise KABR mat kaho..ise jannat rehne do...ise jannat rehne do

...To Kaisa Hoga Hindustaan?


Nigaahein muntazir hain ki kya hoga ab
Ye jo hindustan pehle tha, ye waisa hi rahega
Ya phir kuch kahega ya shikaayat karega
Jo palte the pehle gulistaan yahaan par
Jo rehta tha khushiyon ka nishaan yahaan par
Ye waisa hi rahega
Ya phir kuch kahega ya shikaayat karega
Khwaahishein thi jo bhi mere dil mein
Khushnuma sama tha jo bhi mere dil mein
Ye waisa hi rahega
Ya phir kuch kahega ya shikaayat karega
Kya aaj naujawaano ka kaafila badhega
Kya naujawaano par koi jadoo chadhega
Main poochhta hoon har ek naujawaan se
Ye waisa hi rahega
Ya phir kuch kahega ya shikaayat karega

Darkhwaast


(India is now pleading to God that it will return to its better condition: Just give me time!)

Mujhe chand din ki mohlat de de,
Main sanwar ke tujhko dikhlaaunga,
Main badal kar tujhko dikhlaaunga,
Mujhe chand din ki mohlat de de.

Tu ek baar aisi kismat de de,
Ki main kya hoon tujhko bata sakoon,
Ki main kya hoon tujhko dikha sakoon,
Tu ek baar aisi kismat de de.

Chaahe tu mujhe laanat keh de,
Main ilzaam ye hataana chahta hoon,
Kya kar sakta hoon dikhaana chahta hoon.
Chaahe tu mujhe laanat keh de.

Tu ek martaba mohlat toh de,
Tu ek martaba aisi kismat toh de,
Tu laakh mujhe laanat keh de,
Main sanwar kar tujhko dikhlaaunga,
Main badalkar tujhko dikhlaaunga.

Jo ye saare dard main seh raha hoon,
Kabhi Andhra, Kabhi Kashmir se bat raha hoon,
Mere jism par itne gole baras rahe hain,
Mujhe sambhalne ka mauka toh de,
Main sambhal ke tujhko dikhlaaunga.

Aaj toh zaalimon ka pehra hai,
Sar pe unhi ke sehra hai,
Apne hi ab ladne lage hain,
Mujhe samjhaane ka mauka toh de,
Main samjha ke tujhe dikhaaunga,
Mujhe chand din ki mohlat de de,
Mujhe chand din ki mohlat de de.

Yeh Adaayein

Yeh adaayein, yeh mast mast hawaayein
Suno, suno na, kya kehti jaayein
Yeh patjhad ka jaana, saawan ka aana
Ye ghataaon ka chhaa jaana
Ye adaayein, ye mast mast hawaayein, suno, suno na kya kehti jaayein -2

Ye patto ka jhadna
Ye paani ka barasna
Is mausam mein bhala kyun tarasna
Ye nadiyo ka behna
Mera tujhse kuch kehna
Ki tu mere dil mein rehna
Ye sab hai kahaani 
Maujo ki rawaani
Do pal ki jawaani
Deewani deewani

In panchhiyo ka udna
Ye do dilon ka judna
Ek mod pe aakar mudna
Suraj ka ugna
Phir shaam ko dhalna
Dil ka phisalkar sambhalna
Ye sab hai kahaani
Maujo ki rawaani
Do pal ki jawaani

Ye adaayein, ye mast mast hawaayein, suno, suno na kya kehti jaayein -2

Savera

Lo aaya naya savera
Gaya raat ka andhera
Raat ke andheron ko
Ujaale ne hai ghera
Lo aaya naya savera
Gaya raat ka andhera
Raat ke andheron ko
Ujaale ne hai ghera

Raat ke andhere gaye 
Aa gaye savere naye
Dikhta hai sapna ek
Rahe hamesha savera

Dekho...mili nayi zindagi, mila hai basera
Jaise roshni ne haath hai phera
Zamaana bhi hai ajeeb, hasta hai mujh par
Dhoondhta phiroon, main humsafar

Lo aaya naya savera
Gaya raat ka andhera
Raat ke andheron ko
Ujaale ne hai ghera
Lo aaya nayasavera
Gaya raat ka andhera
Raat ke andheron ko
Ujaale ne hai ghera

Aaj...jaise lapta ho, saanp par sapera
Lage baarish ne, baandha ho sehra
Daastan sunata hoon, tumhein main apni
Jaago jaago dekho, duniya hai apni
Karta rahoon, kab tak sabar

Lo aaya naya savera
Gaya raat ka andhera
Raat ke andheron ko
Ujaale ne hai ghera
Lo aaya naya savera
Gaya raat ka andhera
Raat ke andheron ko
Ujaale ne hai ghera

Lo aaya naya savera
Gaya raat ka andhera
Raat ke andheron ko
Ujaale ne hai ghera
He..lo aaya naya savera
Gaya raat ka andhera
Raat ke andheron ko
Ujaale ne hai ghera

Sitaare Hain

Sitaare hain mere saath falak mein
phir bhi tanha hoon main, phir bhi tanha hoon main
pehle to baatein karta tha main sitaaron ke saath, sitaaron ke saath
ab to tanha hoon main kyon ki
tu nahin mere saath, tu nahin mere saath

Shab ho ya ho ye subah
rab ho na ho tere liye hai jagah
dil mein, dil mein
hamesha, hamesha

Roothe dost bhool jaaye mujhe
kal meri yaad aaye tujhe 
aa jaana, aa jaana
meri jaan, meri jaan

Sitaare hain mere saath falak mein
phir bhi tanha hoon main, phir bhi tanha hoon main
pehle to baatein karta tha main
sitaaron ke saath, sitaaron ke saath
ab to tanha hoon main kyonki
tu nahin mere saath, tu nahin mere saath 

Mera Rang De Basanti Chola (Lyrics by me) :')

Mera Rang De Basanti Chola, o mera rang de basanti chola
Rang de basanti chola chola, mera rang de basanti chola
Mera Rang De Basanti Chola, o mera rang de basanti chola
Rang de basanti chola chola, mera rang de basanti chola

Sajde mein jhukta hoon main apne watan ke, ishq hai mujhko desh ki azaadi ke kafan se
Dhak do mera sar usse aye watan ke logon, hai inquilab ka naara goonjta apne chaman se
Hai aisi apni kurbaani ki saara desh ye bola
Mera rang de basanti chola
Mera Rang De Basanti Chola, o mera rang de basanti chola
Rang de basanti chola chola, mera rang de basanti chola
Mera Rang De Basanti Chola, o mera rang de basanti chola
Rang de basanti chola chola, mera rang de basanti chola

Khoon se apne likh denge hum ek naya itihaas suno, 
Aag hi aag hai raaho mein main kehta hoon aag chuno
Ae mere humraahi tum bhi ishq karo watan se, saans lein sakein azaadi ki aisa tum ek khwaab buno
Aazadi ki raah pe chalkar mann mera yun dola
Mera rang de basanti chola
Mera Rang De Basanti Chola, o mera rang de basanti chola
Rang de basanti chola chola, mera rang de basanti chola
Mera Rang De Basanti Chola, o mera rang de basanti chola
Rang de basanti chola chola, mera rang de basanti chola

Gulistaan

Aaj gulistaan bikharne ko hai
Ek naya kal savarne ko hai
Aaj gulistaan bikharne ko hai
Ek naya kal savarne ko hai
Jaise koi bichharne ko hai
Dil mera ab tadapne ko hai
De de mujhe tu raasta ae khuda
Tujhko tera hi vaasta ae khuda

Jung ye kaisi chhir gayi
Zinda laash koi gir gayi
Jung ye kaisi chhir gayi
Zinda laash koi gir gayi
Ab zindagi bhi ghir gayi
Tanhaai mein pichhar gayi
Roye ye dil to kya karoon ae khuda
Ab nahin koi apna, kya karoon ae khuda

yeeee.......yeeeeeeeee.....yeeeeeeeeee......

Yahaan dost bhi hain aur hai mera pyar
Kar doon inpe main jaan nisaar
Aansoo bhi kya cheez hai mere yaar
Saath deta hai ye humaara
Chaahe ho gham, ya khushi ka iqraar
Ek chehra nazar aa gaya
Dil pe hai wo chha gaya Ek chehra nazar aa gaya
Dil pe hai wo chha gaya
Mujhko hai wo bha gaya
Jaane kya wo bata gaya
Na bhoolun use kya karoon ae khuda
Hai wo alag sa kya karoon ae khuda

Aaj gulistaan bikharne ko hai
Ek naya kal savarne ko hai
Aaj gulistaan bikharne ko hai
Ek naya kal savarne ko hai
Jaise koi bichharne ko hai
Dil mera ab tadapne ko hai
Aaj gulistaan bikharne ko hai
Ek naya kal savarne ko hai
Aaj gulistaan bikharne ko hai
Ek naya kal savarne ko hai
Jaise koi bichharne ko hai
Dil mera ab tadapne ko hai
De de mujhe tu raas ta ae khuda
Tujhko tera hi vaasta ae khuda

Kaash

Kaash zindagi ajeeb hoti,
Maut ke kareeb hoti, kaash!
Kaash! saawan mein mor na hote,
Baadalo ke shor na hote, kaash!
Kaash! sooraj-chaand ek hote,
Taare na anek hote, kaash!
Kaash, dhuaan na hota ye jag,
Yun hi badhte rehte pag, kaash!
Kaash! kisi se pyar na hota,
Kabhi na mera dil rota, kaash!
Kaash! kabhi na use shikaayat hoti,
Uski taraf se hidaayat hoti, kaash!
Kaash! kabhi na koi dushman hota,
Darr mein kabhi na koi sota, kaash!
Kaash! koyal na kabhi meetha gaati,
Kabhi na aisi awaaz paati, kaash!
Kaash! dil mera patthar hota,
Hamesha sabse hatkar hota, kaash!
Sochiye, agar haath mein mere kalam na hoti,
Kone mein baithkar sacchaai roti,
Na baantti wo apna dukh mujhse,
Kaash! main na sunta usne jo bhi kaha,
Kaash! main na jaanta usne dukh saha, kaash!

Dahaad---SAVE OUR TIGERS

Kisi ki dahaad suni, kuch keh raha tha wo
Koi nahi wo ek sher hi tha
shaayad kuch kehna chaahta hai wo
lipta darr ki chaadar se
kal soch raha tha main
kya khuda us par meherbaan hoga
kya khuda koi karishma dikhaayega
insaan ki soch mein le aaye tabdeeli
jo himaakat kar raha hai tu, ae insaan
jaanta nahi kya hoga iska anjaam
jis kaam ka kiya hai tune aaghaaz
sajaai thi jisne duniya ko
insaan, jaanwar, ped paudhe
humne kyun nahi bakhsha us dahaad ko
us sher ki dahaad ko
shaayad wo madad maang raha hai
apne aap ko bachaana chaahta hai
kuch sehma sa, kuch ghabraaya sa hai wo
uski dahaad suno, pehchaano uski taakat ko
aaj tum usko maar rahe ho
khuda na kare, kal wo tumhein apna nishaana banaaye
reh gayi hai ab jo, wo hai uski sada
uski dua, uski DAHAAD

Raaste Aasmaan Mein

Tu kyun chalta hai zameen par, tere raaste hain aasman mein,
Tu kyun dekhta hai dhool zameen ki, pankh tere hain aasman mein,
Baadalon ko hatakar bane hain tere liye, raaste aasman mein,
Panchhiyon se hogi teri mulaakat, titliyon se bhi hogi teri baat,
Kar rahe hain sab tera intezaar, sab dekh rahe hain teri raah,
Tere raaste,
Jo hain aasman mein
Kadam-kadam pe milengi tujhe, thandi hawaaon ki thandak,
Thandi chhaon ke tale, tu rahega khush hamesha,
Neeli-neeli hogi, teri raahein,
Apna hi maan, tu aasman ko,
Shak ki koi gunjaaish hi nahin, ki ye sab hain tere,
Tere hi hain, raaste aasman mein 

Aman Ki Aawaaz


Nas nas mein mere khoon basa
Aman paane ko jee chaahta hai
Maine kaha, Mujhe aman chaahiye
Us shakhs ne kaha, Kehne se kuch nahin hota
Maine kaha, Main aawaaz uthaaoonga
Us shakhs ne kaha, Sirf aawaaz uthaaoge kya?
Maine kaha, Zaroorat padi to sadak par utroonga
Us shakhs ne kaha, Sadak par utroge?
Sainiko ka pehra hai
Maine kaha, Main tayyar hoon, sabka saamna karne ke liye
Maine poochha----
Tum kaun ho, jo kehne se rok rahe ho?
Tum kaun ho, jo aawaaz ko dabaana chaahte ho?
Tum kaun ho, jo sadak par utarne se rok rahe ho?
Sainiko ka khauff dikha rahe ho?
Lag raha hai ki tum aman ke dushman ho...
Agar ho, to sun lo,
Tumhaari chaal kamyaab nahin hone wali
Aman to aakar hi rahega
Aman to aakar hi rahega...

Mujhe Chalna Hai


Raahein dekhi to kai hain, par ek hi raasta hai,
Jis par mujhe chalna hai.
Kisi soye hue insaan ko jagaane ke liye, mujhe chalna hai
Kahin junoon laane ke liye, mujhe chalna hai,
Mujhe chalna hai.
Chalna hai mujhe, kahin aman laane ke liye,
Rote logo ko hasaane ke liye, mujhe chalna hai.
Andheri shab ko ujle savere mein tabdeel karne ke liye,
Mujhe chalna hai.
Roshan karne is jahaan ko, mujhe chalna hai,
Koshishein to hain, unhein poora karne ke liye, mujhe chalna hai.
Haiwaan ko insaan banaane ke liye, mujhe chalna hai,
Khuda ka noor dhoondhne ke liye, mujhe chalna hai.
Zulmon ki taareekh likhne ke liye, mujhe chalna hai,
Mujhe chalne do, mujhe chalna hai.
Kal ko rangeen banaane ke liye, mujhe chalna hai,
Logon ki khushiyaan unhein waapas lautaane, mujhe chalna hai.
Nazar utha ke jo dekh raha hai, mere watan ki or,
Uski nazar jhukaane, mujhe chalna hai.
Meelon ke faasle hain abhi, un faaslon ko mitaane,
Mujhe chalna hai.
Mujhe chalna hai, mujhe chalna hai,
Mujhe chalne do, mujhe chalna hai.

(...and I have to go on like this!!!)