Friday, May 24, 2013

Dahaad---SAVE OUR TIGERS

Kisi ki dahaad suni, kuch keh raha tha wo
Koi nahi wo ek sher hi tha
shaayad kuch kehna chaahta hai wo
lipta darr ki chaadar se
kal soch raha tha main
kya khuda us par meherbaan hoga
kya khuda koi karishma dikhaayega
insaan ki soch mein le aaye tabdeeli
jo himaakat kar raha hai tu, ae insaan
jaanta nahi kya hoga iska anjaam
jis kaam ka kiya hai tune aaghaaz
sajaai thi jisne duniya ko
insaan, jaanwar, ped paudhe
humne kyun nahi bakhsha us dahaad ko
us sher ki dahaad ko
shaayad wo madad maang raha hai
apne aap ko bachaana chaahta hai
kuch sehma sa, kuch ghabraaya sa hai wo
uski dahaad suno, pehchaano uski taakat ko
aaj tum usko maar rahe ho
khuda na kare, kal wo tumhein apna nishaana banaaye
reh gayi hai ab jo, wo hai uski sada
uski dua, uski DAHAAD

No comments:

Post a Comment