Friday, May 24, 2013

Kitaabon Ke Panne


Kitaabon ke har panno ki daastan 
Alag si kyun hai?
Har panna kyun apni kahaaniLiye phirta hai
Har ek lafz ki apni
Ek alag kahaani hai
Har panna apne alfaazon ke zariye
Khushi dhoondhta hai
Par ya khuda! Sabke naseeb mein
Ghamo ka hi makaan hai
Phate panne to waqt ke paaband maaloom hote hain
Khush hain wo aur khud ko khushnaseeb kehte hain
Ki wo apni is haalat se waakif the
Unhein apni ye haalat bhi kabool thi
Koi do panne bhi khush the bahut
Unke khush hone ki apni alag wajah hai 
Kisi ne ek sookhe hue gulaab ke phool ko 
Unke supurd kar diya tha
Ye ab un panno ki zimmedaari thi
Ki wo is yaadgaar nishaani ko
Sambhaal kar rakhein
Aakhir mein
Kuch panne aise the
Jinhein kisi ki likhi hui nazmein naseeb thi
Wo khoobsoorat alfaaz
Jinhone shobha badhaayi thi
Un nazmon ki
Ab wahi alfaaz un panno ki bhi
Shobha badha rahe the
Yahaan khatm hota hai kissa
Un panno ka
Jinhein mila hai sahara
Kai puraani yaadon ka

No comments:

Post a Comment