Friday, May 24, 2013

Kaash

Kaash zindagi ajeeb hoti,
Maut ke kareeb hoti, kaash!
Kaash! saawan mein mor na hote,
Baadalo ke shor na hote, kaash!
Kaash! sooraj-chaand ek hote,
Taare na anek hote, kaash!
Kaash, dhuaan na hota ye jag,
Yun hi badhte rehte pag, kaash!
Kaash! kisi se pyar na hota,
Kabhi na mera dil rota, kaash!
Kaash! kabhi na use shikaayat hoti,
Uski taraf se hidaayat hoti, kaash!
Kaash! kabhi na koi dushman hota,
Darr mein kabhi na koi sota, kaash!
Kaash! koyal na kabhi meetha gaati,
Kabhi na aisi awaaz paati, kaash!
Kaash! dil mera patthar hota,
Hamesha sabse hatkar hota, kaash!
Sochiye, agar haath mein mere kalam na hoti,
Kone mein baithkar sacchaai roti,
Na baantti wo apna dukh mujhse,
Kaash! main na sunta usne jo bhi kaha,
Kaash! main na jaanta usne dukh saha, kaash!

No comments:

Post a Comment