Friday, September 20, 2013

Nishaan

(A man, at the time of partition, is going to Pakistan from his beloved country India hoping that maybe one day he will come back to his native land. This poem describes his emotions, and his feelings as he is on his way to Pakistan along with the caravan.)

Ek nishaan dekhta hoon main,
Logon ke kadmo ke nishaan,
Jo jaa rahe hain,
Ek watan se doosre watan ki ore...
Wo nishaan jo shaayad hi waapas laut ke aayenge
Ulti disha mein ek din,
Hai ek khwahish meri,
Ki mere watan ki mitti bhi
Mere saath chal chale,
Par afsos...ye ho nahin sakta
Na socha tha maine kabhi
Aayega ye waqt bhi
Jab supurd ho jaaunga main
Dooje watan ke...
Wo jo gubaar udte dikhaai dete hain
Jab kaarvan ye guzra tha
Un gubaaron mein ghuli, mere watan ki mitti ki khushboo bhi
Kahin kho si jaati hai
Har khoon ke katre mein
Sunaai deti hai cheekhein mujhe
Un masoom bachchon ki, un auraton ki
Jo shikaar hue
Khooni khel ke
Mera dil bhi ab
Dilaasa de raha hai
Mere mehboob watan ko
Jo ro raha hai
Mere jaane ke gham mein
Us raaste se hokar bhi guzra main
Jab dekha tha maine pattharon ko
To yaad aayi ghar ki wo chaukhat
Jinhein laanghne ki khwahish mein
Kabhi-kabhi gir bhi jaata tha main
Thokar khaakar
Ye saza mil rahi hai humein
Kis baat ki humein
Ki abhi hi manaaya tha humne
Aazadi ka jashn
Aur ab rukhsat ho rahe hain
Apne watan se
Aaj jo mera ghar hai
Kal kisi aur ka hoga
Aur mujhe bhi rehna padega
Kisi aur ke ghar ko
Apna banaakar
Wo  nishaan dekh raha hoon main
Jo ab keval ek sach
Ek kadva sach bankar
Reh Jaayenge

Tum Mujhse Door Ho

Hai dil ki kuch majboori
Ki tum mujhse door ho...
Hai baatein abhi kuch adhoori
Ki tum mujhse door ho
Door ho tum mujhse
Khushi hai mujhe
Par khushi hai sirf thodi
Ki tum mujhse door ho....

Nagawaar guzar rahe hain wo din
Jee rahe hain hum tere bin
Dil ko hai tasalli poori
Ki tum mujhse door ho...

Wo jhoothe kasme vaade
Wo dikhaave ke iraade
Ab dikhaati hai ye doori
Ki tum mujhse door ho...

Hai kehna ye tumse
Na aana mujhse milne
Tum hi thi meri kamzori 
Par ab mujhse door ho...

Hai dil ki kuch majboori
Ki tum mujhse door ho...
Hai baatein abhi kuch adhoori
Ki tum mujhse door ho
Door ho tum mujhse
Khushi hai mujhe
Par khushi hai sirf thodi
Ki tum mujhse door ho....

Aarzoo

Teri Aankhon Se Jo Dekha Maine Neend Ko Tapakte Hue...
To Haan Mujhe Ehsaas Hua...
Ki Teri Palkon Ke Pardon Ko
Mujhe Utha Kar Dekhna Chaahiye...

Na Jaane Kaun Si Aisi Baat Chhupi Hai Inmein,
Main Kya Bataaun...
Ki Aaj Mera Dil Bhi
Inhein Jaanne Ko Betaab Hua Jaa Raha Hai...

Koi Ummeed Koi Khwahish Liye,
Ye Dil Jo Abhi Zinda Hai Mera,
Kya Pata Teri Baaton Mein Tere Khayalon Mein
Fanaa Ho Jaaye...

Ek Kashish Hai Jo Teri Aankhon Mein,
Main Jiska Sadiyon Se Deewana Hoon,
Ye Wahi Kashish, Haan Wahi Kashish Hai...
Jise Ab Kaagaz Pe Utaarne Ko Jee Chaahta Hai...

Nigaahein To Milaao Humse, Yun Sharmaana Kaisa?
Hum Bhi To Hain Tere Chaahne Wale...
Teri Khushiyon Ko Salaam Karte Hain
Tere Gham Ko Apna Maanne Wale...

Hai Meri Ye Aarzoo Ki...
Tere Jamal Se Roshan Ho Ye Jahaan Saara...
Jo Gar Kabhi Aisa Ho Jaata Hai To
Ye Khushnaseebi Hogi Meri, Meri Zindagi Ki...

Meri Zindagi To Shuru Hi Kuch Yun Hui,
Ki Jaise Bhi Khatm Ho Mujhe Koi Gham Nahin,
Hai Tere Aansoo Bhi Bahut Keemti,
Yakeen Maan Ye Motiyon Se Kam Nahin..!!! 

Sazaa

Mujhe kyun mili saza hai, 
Haan meri kya khata hai,
Shaayad yehi...ki main chaahta hoon use
Ya phir yeh...ki poojta hoon main use

Mujhe kyun mili saza hai,
Haan meri kya khata hai,
Shaayad mohabbat ka izhaar,
Ki main karta hoon usse pyar...

Mujhe kyun mili saza hai,
Haan meri kya khata hai
Shaayad ye ki hai meri wajah se
Uljhanein use...
Ya shaayad main hi hoon
Uski uljhan....

Mujhe kyun mili saza hai,
Haan meri kya khata hai,
Kyun tumhein nahin hai mujh par bharosa...
Mujhe meri khata bata de...

Mujhe kyun mili saza hai,
Haan meri kya khata hai

Mohabbat

Hai ye rut kaisi, mil rahe hain do dil
Aur sawar raha hai mohabbat ka kaarvaan

Hai ye maazra kya, kyun ho raha hai aisa
Ki mil rahe hain do dil ek jaan...

Ye jo mohabbat hai kya ye sach hai
Ki hasaati bhi hai aur rulaati bhi hai
Hai khuda ko bhi yakeen ki paak hai ye mohabbat
Haan wo jaanta hai iski hifaazat karna

Ye fizaayein mehek rahi hain,
Ye waadiyan gaa rahi hain
Ki inhein bhi hai mohabbat
Teri mohabbat se....

Roshan hai tera chehra bhi 
Roshan uska bhi hai chehra
Kya yehi hai nishaani
Sacche mohabbat ki???

Hai teri zaroorat ye paak mohabbat
Hai mujhe bhi isi ki talaash
Ye Khuda ki hai barkat
Tu na thukraana ise... 

Barsaat

Yun aaj kuch aisi barsaat hui...
Ki mere dil mein bhi halchal hui
Kaash tum hoti mere saath
To mausam aur bhi suhaana hota...

Kaash tum hoti to ye patte
Aur bhi zor se hilte...

Kaash tum hoti...to ye vaadiyan bhi
Aur haseen ho jaati

Tum hi nahin ho yehi wajah hai
Ki ye saawan bhi pyaasa hai

Ye baadal aur garajte
Agar tum hoti mere saath...

Ye baarish khud bhi hai pheeki
Kyunki tum nahin ho

Hai ye panchhi bhi gumsum se
Kyunki tum nahin ho

Kyun ye baarish hai aayi 
Jab tum nahin ho

Kyun ye baadal hain chhaaye
Jab tum nahin ho...

Ishq Mein

Kyun laakhon parinde jaa rahe hain
Aasman ki ore...
Kyun nadiyan bhi mil rahi hain...
Sagar se...
Shaayad ishq mein...!!!

Kyun hawaayein bhi gumsum si hain,
Kyun ye patte bhi katra rahe hain 
girne se...
Kyun aaj mausam bhi khushgavaar hai...
Shaayad ishq mein...!!!

Ye jo baasuri ki dhun
Mere kaano mein padti hai
To kyun main is dhun ki taraf
Khicha chala jaata hoon...
Shaayad ishq mein...!!!

Haan hai ishq mujhe usse 
Jise main khona nahin chaahta
Kyun hai aisa ki meri raat usi se hai aur mera din bhi...
Shaayad ishq mein...!!!

Wo Lucknow Ki Haveli

Wo Lucknow ki haveli,
Jhilmil roshni ke beech khadi,
Sabko apni or kheechne par,
Majboor kar rahi thi
Andar jal rahi mombattiyan bhi ek ishaara thi
Ki dheere-dheere din dhal raha hai
Khaamosh deewarein bhi ab kuch kehna chaahti hain
Jo sadiyon se apni aawaaz ko
Dabaaye hui thi,
Us band haveli mein.
Us band haveli ki chhat
Jo jaanti thi ki ek faasla hai
Uske aur farsh ke beech
Jo unhein naam badalne par majboor karta hai
Wahi chhat, phir bhi aas lagaaye baithi hai
Ki kabhi to wo farsh se milegi
Haveli ki khidkiyan bhi kuch kam nahin hain
Khulte hi unka maqsad bhi
Ajeeb maaloom padta hai---baahar se aa rahi fizaaon ko
Apni haveli mein aane ke liye daawat dena...
Wo intezaar mein hain ki fizaaein kab aayengi
Us haveli ko dekhne, wahaan rehne ke liye
Apne saath wo lehraata aanchal
Kabhi kabhi le aati hai
Jo shaayad kisi ke pyar ki nishaani hai
Aur kabhi kabhi to
Kisi ka khat bhi usi raaste se udta hua
Aa jaata hai
Jismein kisi ka paighaam-e-mohabbat hai
Wo bistar bhi yaadgaar hua karta hai
Jab khud pe wo kisi ke khat ko paata hai
To sharmaane se nahin chookta
Aur phir chaadar par pada wo khat bhi
Hat jaata hai hichkiyon se
Us haveli ke darwaaze 
Jaise khulte hi
Pukaarte hain mehmaano ko
Aur us haveli ke chhajje
Jaise baaki sate chhajjo se
Naata jodna chaahte ho
Aur phir
Is haveli ki daastaan sunaana chaahte ho
Yeh hai kissa us haveli ka
Us Lucknow ki haveli ka
Jo aaj bhi jhilmil roshni ke beech khadi
Kisi ka intezaar kar rahi hai