Saturday, February 15, 2014

Agar Maut Bhi Aaye To Kya Gham Hai

Yaar idhar to dekho hum hi hum hain…
Jitna pyaar karo utna kam hai…
Zindagi se to hum khush hain hi…
Agar maut bhi aaye to kya gham hai...

Kal khwaab mein khud ko haara hua paaya...
Socha ki ye khwaab haqeeqat kyun nahin hai
Tujhko jaan gaya tu bewafa sanam hai
Agar maut bhi aaye to kya gham hai

Raah bhatakte musafir ki tujhse mulaaqat hui thi
Ye to yaad hoga tujhe
Wo bhi yaad na ho to haaye sharam hai
Agar maut bhi aaye to kya gham hai

Yaar idhar to dekho hum hi hum hain…
Jitna pyaar karo utna kam hai…
Zindagi se to hum khush hain hi…
Agar maut bhi aaye to kya gham hai...


Kuch Os Ki Boondein

Kuch os ki boondon ki chaadar se dhake
Patton ne ek sawaal poochha dafatan
Ye os ki boondein kisliye
Aati hain narmi ki chaadar odhe
Aur chali jaati hain aise
Jaise koi sandesa aaya ho unke liye
Kuch os ki boondein
Yun phailaati hain baahein apni
Aur sard fizaaon ko
Apni aaghosh mein lekar
Na jaane unke kaano mein kya kehti hain
Ki wo sard fizaayein bhi apna hosh kho kar
Inke saath chali aati hain
Kuch os ki boondein
Phool aur baad-e-saba-e-sard ko
Ek saath milaane ka kaam karti hain
Kabhi kabhi garmi mein
Yaad bhi aati hain aur
Kabhi kabhi hamein rulaate hue
Waapas aane ka vaada karti hain
Phir wahi manzar dikhaane ka vaada karti hain

Kuch os ki boondein...