Tu jab kisi baat par zor se hasti hogi
Chaand taaron ko apni aaghosh mein karti hogi
Tu jab yun sharmaa kar apni palkein jhukaati hogi
Haya ki baarish mein bheeg geet gungunaati hogi
Teri muskuraahat dekh khuda bhi sochta hoga
Kya naksh banaaya usne naaz use hota hoga
Raaz jab koi tu apne paak dil mein rakhti hogi
Wo raaz bhi phir khud ko khushnaseeb samajhta hoga
Mere dil ki dhadkanein gar tumne suni hoti
Pukaarti hain ye tera naam tujhe pata hota
Ae kaash tumne meri mohabbat ko samjha hota
Na aankhein meri nam hoti na hi mera dil rota
Dabe paaon jab tum mere khwaab mein aati ho
Tumhein nahin pata tum dhadkan tez kar jaati ho
Tera hi chehra ab har jagah nazar aata hai
Aisa kyun lage humaara janmon ka naata hai
Haal-e-dil mera na mujhse bayaan hoga
Hai itne dard dil mein tumhein kahaan pata hoga
Tera khayaal aata hai har waqt mera kya hoga
Wahi hoga jo manzoor-e-khuda hoga

No comments:
Post a Comment