Saturday, May 10, 2014

Mera Dard

Tu bhale kisi aur ka khwaab ho,
Mere dil mein tu hamesha shaamil hogi
Tere ashq mere ashq hain aur sada rahenge
Tera gham tera nahin wo mera hai tujhe khushiyaan mubaarak
Palat ke yaadon ke panne jab tu dekhti hogi
Kabhi hasaaya tha tumhein maine yaad karti hogi
Teri zindagi mein shaayad aaj mera wo darja nahin par
Meri zindagi mein tu hamesha hi mera khuda hai
Yaad hai wo pal jab tune kaha tha
Rahenge hum saath hamesha
Aaj sochta hoon jab teri baatein to
Muskuraata bhi hoon aur dil bhi rota hai
Hai dard kahin dil mein pal raha iss dard ki koi dawa nahin
Gar dawa hai bhi to sirf ek
Par wo milegi iss ka koi daawa nahin
Aaj bhi jab tere surkh lab muskuraate honge
Saari kaaynaat ki khoobsoorti ko samet laate honge
Tere dil mein koi baat agar dabi hogi
Kar yakeen mere dil ne wo baat suni hogi
Kaise jiya jaaye tere bina koi de de zeher mujhe
Koi gham na hoga teri yaad mein
Main hass ke zeher bhi pee loonga
Hai dil mera zakhmi bas teri yaadon ka hi marham hai
Tu nahin hai mere paas jaise sadiyon se iska gham hai
Rang meri chaahaton ke tune shaayad dekhe nahin
Zara dekh to ek baar inhe ye itne bhi halke nahin
Chand khwaahishein hai dil mein
Jo leti hain janam baar baar
Kar mera aitbaar karta hoon bahut pyar
Main tumhein
Ye jo zindagi mein hai tanhaai ka aalam
Tu kisi aur ko na dena phir aise gham

No comments:

Post a Comment