Friday, May 16, 2014

Tera Chehra

Dekha jab maine chaand ko, tera chehra yaad aaya
Palkon pe aansuon ka wo pehra yaad aaya

Hai tera chehra kya, noor jaise khuda ka
Thehri si hai zindagi, ki tu hai juda sa

Teri jhuki palkon ko dekha, tera sharmaana yaad aaya
Meri chhoti chhoti baaton par muskuraana yaad aaya

Teri chunri jo tere sar ko dhaka karti thi
Aur tera sar choomne ki khata karti thi

Aaj tujhse milne ka wo bahaana yaad aaya
Zindagi ka wo haseen fasaana yaad aaya

Main door hoon tujhse par tu mere paas hai
Hai dil ki yehi sada ki tu sab mein khaas hai

Tera intezaar karta wo sookha gulaab yaad aaya
Mujhe aaj pal-pal ka hisaab yaad aaya

Rangon sa ghul gaya tha teri zindagi mein main
Khud ko hi bhool gaya tha teri bandagi mein main

Tere sitam ka har ek qissa yaad aaya
Mujhe mera bichhda hissa yaad aaya





No comments:

Post a Comment